Burka......




Burka...
Mere ijjat... mere majhab ko darsta..
Muje sab ki nigaho se bchata....
Muje ek alag pahchan dilate...
Mera burka...
Jab hosh samhala mene...
Ye muje mere ammi ne diya..
matlab chahe bhale he na pta tha muje is ka..
par tab muje ye accha lagta tha.
.kyuki sab pahnti the ise..
khala..ammmi..fufi..chachi....appi...
Par muje is k peeche k dard ka tab ehsaas na tha..
Sab se juda kar diya is ne muje..
Keid kar diya... chaar diwari me..ak libaaj ne muje...
Na kanhi ja sakti, aur na hi rahmaan k sath khel sakti...
Jise ab tak na jati pta the... na dharm...
Ab us ki kwal ek hi jaati aur ek hi dharm tha ....
Ye burka.....burka...
Is burke k andar ki duniya bilkul alag the...
Jab se is libaaj k andar gye hu...
Sayad mere sohar ne he hi muje is se juda dekha hoga...
Ek kale rang ka parda mere aur is duniya k beech...
Na wo duniya mere pass aa sakti h...
aur na is burke ko laangh me us duniya me hi ja sakti hu..
kabhi gum tha muje is gulami ka...par ab ye hi muje sukun deta h
mere rooh ko khuda se milata h...muje in janjalo se aajad krata h...
ya allah... mene puri zindgi to ise pahna ...
par apni beti ko ye tohfa kabi na dungi...
udne dungi me use khule aasman me..
milne dungi puri duniya se...
rang bhar sakegi wo apni duniya me khud....
islaam ka matlb khuda ki ibadat h..
khuda k naam pe kisi ki aajadi pe pabandi lgana nahi...
islaam khuda h... keid nahi...
burka..ab ek majburi hai...
khud ko bchane k liye...khuda se nahi...
majhab k thekedaro se.......
mana burka adab h..ijjat h...pahchan h...
par mat bhulo ye hume sari duniya se alag bi to karta h...
kam se kam jo tum ne sha.. apni agli pedhi ko to ye tohfa mat do...
kadr karo us ki...par khed mat karo khud ko us me....
burka....
Share:

2 comments:

  1. kya baaaaaat hai.....ji...........controversi......but good thought

    ReplyDelete
  2. waj waj waj , kya aji najam hy

    ReplyDelete